KHwahish-e-wasl ke zindan mein rakkha hua hai
ḳhvāhish-e-vasl ke zindān meñ rakkhā huā hai
ḳhud ko ik shaḳhs ke imkān meñ rakkhā huā hai
hausla paḌtā nahīñ kaise uThā.ūñ us ko
hijr kā dukh bhī to sāmān meñ rakkhā huā hai
dekhne vaale bhī hairān hue jaate haiñ
dil ne har zaḳhm namakdān meñ rakkhā huā hai
titliyāñ phuul samajhte hue aa jaatī haiñ
us kī tasvīr ko gul-dān meñ rakkhā huā hai
ik paristān meñ Thahrāyā hai us ishq ne aur
dūsre shaḳhs ko multān meñ rakkhā huā hai
āte-jāte hue dil us ke tasavvur meñ rahe
hijr is vāste dālān meñ rakkhā huā hai
aur to kuchh bhī nahīñ is meñ fazīlat aisī
ik tajassus hai jo insān meñ rakkhā huā hai
dil kī taskīn ko ye baat bhī kyā kam hai 'ayāz'
us ne kuchh roz tujhe dhyān meñ rakkhā huā hai
KHwahish-e-wasl ke zindan mein rakkha hua hai
KHud ko ek shaKHs ke imkan mein rakkha hua hai
hausla paDta nahin kaise uThaun us ko
hijr ka dukh bhi to saman mein rakkha hua hai
dekhne wale bhi hairan hue jate hain
dil ne har zaKHm namakdan mein rakkha hua hai
titliyan phul samajhte hue aa jati hain
us ki taswir ko gul-dan mein rakkha hua hai
ek paristan mein Thahraya hai us ishq ne aur
dusre shaKHs ko multan mein rakkha hua hai
aate-jate hue dil us ke tasawwur mein rahe
hijr is waste dalan mein rakkha hua hai
aur to kuchh bhi nahin is mein fazilat aisi
ek tajassus hai jo insan mein rakkha hua hai
dil ki taskin ko ye baat bhi kya kam hai 'ayaz'
us ne kuchh roz tujhe dhyan mein rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.