KHwahish-e-wasl to be-kar nahin kar sakta
ḳhvāhish-e-vasl to be-kār nahīñ kar saktā
vo mirī diid se inkār nahīñ kar saktā
ek maiñ huuñ ki tujhe pyaar bahut kartī huuñ
ek tū hai ki ye iqrār nahīñ kar saktā
vaqt se aage nikalne kī tamannā hai mujhe
tez to paañv kī raftār nahīñ kar saktā
tū mire pyaar meñ da.ave to bahut kartā hai
barmalā pyaar kā iz.hār nahīñ kar saktā
kuchh bhī kar saktā hai lekin vo mirā dushman-e-jāñ
piiTh pīchhe vo kabhī vaar nahīñ kar saktā
dekh sohnī kī tarah tujh ko bhī degā ye daġhā
ye ghaḌā tujh ko nadī paar nahīñ kar saktā
jo mujhe roz ye kahtā hai 'tabassum' hai mirī
vo mirā dāman-e-dil taar nahīñ kar saktā
KHwahish-e-wasl to be-kar nahin kar sakta
wo meri did se inkar nahin kar sakta
ek main hun ki tujhe pyar bahut karti hun
ek tu hai ki ye iqrar nahin kar sakta
waqt se aage nikalne ki tamanna hai mujhe
tez to panw ki raftar nahin kar sakta
tu mere pyar mein dawe to bahut karta hai
barmala pyar ka izhaar nahin kar sakta
kuchh bhi kar sakta hai lekin wo mera dushman-e-jaan
piTh pichhe wo kabhi war nahin kar sakta
dekh sohni ki tarah tujh ko bhi dega ye dagha
ye ghaDa tujh ko nadi par nahin kar sakta
jo mujhe roz ye kahta hai 'tabassum' hai meri
wo mera daman-e-dil tar nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.