KHwahish hai aaine pe tujhe aaina karun
ḳhvāhish hai aa.ine pe tujhe ā.īna karūñ
par husn-e-be-bahā tirī ujlat kā kyā karūñ
be-kār ho chukā huuñ tire hijr ke tufail
ab tujh ko intizār meñ kyā mubtalā karūñ
kāġhaz kī ek naav utārūñ aur is ke baad
dariyā pe apnā ġhaiz-o-ġhazab rūnumā karūñ
pahle tujhe milā.ūñ kisī ḳhvāb-zār se
phir sub.h kī dalīl pe āñkheñ fanā karūñ
kuchh der bolne kā agar ehtimām ho
maiñ lafz ko lakīr kā bhī mudda.ā karūñ
KHwahish hai aaine pe tujhe aaina karun
par husn-e-be-baha teri ujlat ka kya karun
be-kar ho chuka hun tere hijr ke tufail
ab tujh ko intizar mein kya mubtala karun
kaghaz ki ek naw utarun aur is ke baad
dariya pe apna ghaiz-o-ghazab runuma karun
pahle tujhe milaun kisi KHwab-zar se
phir subh ki dalil pe aankhen fana karun
kuchh der bolne ka agar ehtimam ho
main lafz ko lakir ka bhi muddaa karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.