KHwahish ka bojh rakh liya dil ki asas par
ḳhvāhish kā bojh rakh liyā dil kī asaas par
ye kaam bhī kiyā hai tire iltimās par
paanī kī chand būñdeñ mujhe māñgnī paḌīñ
sharmindagī huī hai bahut apnī pyaas par
lafzoñ meñ jhilmilāte hue ġham nahīñ haiñ ye
jugnū Tike hue haiñ ġhazal ke libās par
nākām hai ye kab se magar TūTtī nahīñ
hairān hotā rahtā huuñ maiñ dil kī aas par
dil soch meñ paḌā hai ki vo kaise hoñT the
jin ke nishān ubhre haiñ ab tak gilās par
KHwahish ka bojh rakh liya dil ki asas par
ye kaam bhi kiya hai tere iltimas par
pani ki chand bunden mujhe mangni paDin
sharmindagi hui hai bahut apni pyas par
lafzon mein jhilmilate hue gham nahin hain ye
jugnu Tike hue hain ghazal ke libas par
nakaam hai ye kab se magar TuTti nahin
hairan hota rahta hun main dil ki aas par
dil soch mein paDa hai ki wo kaise honT the
jin ke nishan ubhre hain ab tak gilas par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.