KHwahish ke raste mein diwar ban gaya hai
ḳhvāhish ke rāste meñ dīvār ban gayā hai
ik ḳhvāb qāfile kā sālār ban gayā hai
ik vahm taḳht-ārā pahlū meñ hai yaqīñ ke
ye dil bhī chāhatoñ kā darbār ban gayā hai
is ishq kī lagan meñ duniyā ko taj diyā thā
ye ishq ab to jaañ kā āzār ban gayā hai
ye kaisī guftugū hai kaisā mukālima hai
inkār bhī tumhārā iqrār ban gayā hai
jis kī mushāvarat se bigḌā nizām-e-hastī
vo shaḳhs ab hamārā ġham-ḳhvār ban gayā hai
ḳhud se gurez-pā thī lekin kise ke dam se
merā vajūd kaisā dildār ban gayā hai
chāhat se jo sanam thā maiñ ne 'sadaf' tarāshā
merī itā.atoñ se sarkār ban gayā hai
KHwahish ke raste mein diwar ban gaya hai
ek KHwab qafile ka salar ban gaya hai
ek wahm taKHt-ara pahlu mein hai yaqin ke
ye dil bhi chahaton ka darbar ban gaya hai
is ishq ki lagan mein duniya ko taj diya tha
ye ishq ab to jaan ka aazar ban gaya hai
ye kaisi guftugu hai kaisa mukalima hai
inkar bhi tumhaara iqrar ban gaya hai
jis ki mushawarat se bigDa nizam-e-hasti
wo shaKHs ab hamara gham-KHwar ban gaya hai
KHud se gurez-pa thi lekin kise ke dam se
mera wajud kaisa dildar ban gaya hai
chahat se jo sanam tha main ne 'sadaf' tarasha
meri itaaton se sarkar ban gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.