KHwahishen hain bahut aarzuen bahut sochti hun ki tum bin ye ghar kya karun
KHwahishen hain bahut aarzuen bahut sochti hun ki tum bin ye ghar kya karun
Qamar Suroor
MORE BYQamar Suroor
ḳhvāhisheñ haiñ bahut ārzūeñ bahut sochtī huuñ ki tum bin ye ghar kyā karūñ
raah chalte hue thak ga.e haiñ qadam ḳhatm hotā nahīñ ye safar kyā karūñ
koī sūraj mire saath chaltā nahīñ koī saaya bhī mujh se ulajhtā nahīñ
chāñd bhī ab nikaltā nahīñ hai yahāñ suunā suunā hai dil kā nagar kyā karūñ
maiñ tirā dukh banūñ maiñ tirā ġham banūñ raas aa jaa.e tujh ko vo mausam banūñ
koī tadbīr ab kaam aatī nahīñ aur dil par tire maiñ asar kyā karūñ
hai chakā-chauñd shohrat kī ye raushnī tū nahīñ hai to kuchh bhī nahīñ zindagī
rāste mere pairoñ meñ sone ke haiñ aur chāñdī kī hai rahguzar kyā karūñ
dard dil meñ rakhūñ bhī to kab tak nihāñ dukh maiñ apnā karūñ bhī to kis par ayaañ
zaḳhm detī haiñ mujh ko ye tanhā.iyāñ mujh ko takte haiñ dīvār-o-dar kyā karūñ
sāmne hai nazar ke khulā āsmāñ maiñ qafas se nikal kar bhī jā.ūñ kahāñ
aa bhī jā.ūñ maiñ uḌ kar tire paas bhī par mire kaT ga.e haiñ magar kyā karūñ
maiñ 'surūr' us kī ḳhātir karūñ bhī to kyā mujh se rūThā huā hai masīhā mirā
har shifā har davā merī be-faiz hai har duā ho ga.ī be-asar kyā karūñ
KHwahishen hain bahut aarzuen bahut sochti hun ki tum bin ye ghar kya karun
rah chalte hue thak gae hain qadam KHatm hota nahin ye safar kya karun
koi suraj mere sath chalta nahin koi saya bhi mujh se ulajhta nahin
chand bhi ab nikalta nahin hai yahan suna suna hai dil ka nagar kya karun
main tera dukh banun main tera gham banun ras aa jae tujh ko wo mausam banun
koi tadbir ab kaam aati nahin aur dil par tere main asar kya karun
hai chaka-chaund shohrat ki ye raushni tu nahin hai to kuchh bhi nahin zindagi
raste mere pairon mein sone ke hain aur chandi ki hai rahguzar kya karun
dard dil mein rakhun bhi to kab tak nihan dukh main apna karun bhi to kis par ayan
zaKHm deti hain mujh ko ye tanhaiyan mujh ko takte hain diwar-o-dar kya karun
samne hai nazar ke khula aasman main qafas se nikal kar bhi jaun kahan
aa bhi jaun main uD kar tere pas bhi par mere kaT gae hain magar kya karun
main 'surur' us ki KHatir karun bhi to kya mujh se ruTha hua hai masiha mera
har shifa har dawa meri be-faiz hai har dua ho gai be-asar kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.