KHwahishen intizar aur yaqin
ḳhvāhisheñ intizār aur yaqīn
vasvase be-shumār aur yaqīn
tiin arkān ādmiyyat ke
'ājizī inkisār aur yaqīn
izn-e-rabb-ul-alā-o-rāz-o-niyāz
aap siddīq-o-ġhār aur yaqīn
rāh-e-dushvār laḌkhaḌāte qadam
dasht-e-hairat ġhubār aur yaqīn
jang meñ jiit kī zamānat haiñ
hausla iḳhtiyār aur yaqīn
mustaqil 'ishq kī himāyat meñ
log ham tiin chaar aur yaqīn
manzileñ bad-gumāniyāñ vahshat
fāsla sañg-o-ḳhār aur yaqīn
manziloñ kā surāġh aur husūl
'ishq par inhisār aur yaqīn
lījiye imtihān 'faisal' kā
kījiye ek baar aur yaqīn
KHwahishen intizar aur yaqin
waswase be-shumar aur yaqin
tin arkan aadmiyyat ke
'ajizi inkisar aur yaqin
izn-e-rabb-ul-ala-o-raaz-o-niyaz
aap siddiq-o-ghaar aur yaqin
rah-e-dushwar laDkhaDate qadam
dasht-e-hairat ghubar aur yaqin
jang mein jit ki zamanat hain
hausla iKHtiyar aur yaqin
mustaqil 'ishq ki himayat mein
log hum tin chaar aur yaqin
manzilen bad-gumaniyan wahshat
fasla sang-o-KHar aur yaqin
manzilon ka suragh aur husul
'ishq par inhisar aur yaqin
lijiye imtihan 'faisal' ka
kijiye ek bar aur yaqin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.