KHwahishon ka imtihan hone to do
ḳhvāhishoñ kā imtihāñ hone to do
fāsle kuchh darmiyāñ hone to do
mai-kashī bhī bā-vazū hogī yahāñ
shaiḳh ko pīr-e-muġhāñ hone to do
manzil-e-maqsūd se aa.ī sadā
dil ko mīr-e-kārvāñ hone to do
ḳhāmushī āvāz ban jā.egī yuuñ
be-zabānī ko zabāñ hone to do
kyā nahīñ mumkin hai kuchh sayyād se
us ko apnā bāġhbāñ hone to do
KHwahishon ka imtihan hone to do
fasle kuchh darmiyan hone to do
mai-kashi bhi ba-wazu hogi yahan
shaiKH ko pir-e-mughan hone to do
manzil-e-maqsud se aai sada
dil ko mir-e-karwan hone to do
KHamushi aawaz ban jaegi yun
be-zabani ko zaban hone to do
kya nahin mumkin hai kuchh sayyaad se
us ko apna baghban hone to do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.