KHwahishon ka maqam thoDi hai
ḳhvāhishoñ kā maqām thoḌī hai
dil kā koī nizām thoḌī hai
umr hai ye maraz bhī honā hai
ab koī rok thaam thoḌī hai
yuuñ hī bas haañ meñ haañ milāte haiñ
aap kā ehtirām thoḌī hai
shā.irī be-libās uf tauba
bazm hai ye hamām thoḌī hai
dād-o-tahsīn sab usī kī hai
merā ḳhud kā kalām thoḌī hai
KHwahishon ka maqam thoDi hai
dil ka koi nizam thoDi hai
umr hai ye maraz bhi hona hai
ab koi rok tham thoDi hai
yun hi bas han mein han milate hain
aap ka ehtiram thoDi hai
shairi be-libas uf tauba
bazm hai ye hamam thoDi hai
dad-o-tahsin sab usi ki hai
mera KHud ka kalam thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.