KHwahishon ki kitab the jab the
ḳhvāhishoñ kī kitāb the jab the
zindagī kā nisāb the jab the
apnī uñglī pakaḌ ke chalte the
ḳhud ko ham dastiyāb the jab the
tāq-e-māzī ke ye udaas diye
shauq meñ āftāb the jab the
apnī āñkhoñ meñ ab khaTakte haiñ
chashm-e-yārāñ kā ḳhvāb the jab the
ab mayassar kahāñ haiñ ḳhud ko bhī
haañ tire be-hisāb the jab the
ye jo āñkheñ bujhī bujhī haiñ naañ
in meñ bhī chand ḳhvāb the jab the
ab jo sūkhe paḌe haiñ qabroñ par
ye bhī taaza gulāb the jab the
KHwahishon ki kitab the jab the
zindagi ka nisab the jab the
apni ungli pakaD ke chalte the
KHud ko hum dastiyab the jab the
taq-e-mazi ke ye udas diye
shauq mein aaftab the jab the
apni aankhon mein ab khaTakte hain
chashm-e-yaran ka KHwab the jab the
ab mayassar kahan hain KHud ko bhi
han tere be-hisab the jab the
ye jo aankhen bujhi bujhi hain nan
in mein bhi chand KHwab the jab the
ab jo sukhe paDe hain qabron par
ye bhi taza gulab the jab the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.