KHwahishon ne buna wo jal ab ke
ḳhvāhishoñ ne bunā vo jaal ab ke
bach nikalnā huā muhāl ab ke
Duub jā.ūñgā shab ke saath kahīñ
dekhnā tum mirā kamāl ab ke
maiñ nahīñ tiira ḳhāk-dāñ meñ kahīñ
dil meñ aayā ye kyā ḳhayāl ab ke
yād-e-māzī na ḳhvāb-e-mustaqbil
yuuñ huā hai mirā zavāl ab ke
chhūTe jaate haiñ haath se patvār
mujh ko mauj-e-ravāñ sambhāl ab ke
KHwahishon ne buna wo jal ab ke
bach nikalna hua muhaal ab ke
Dub jaunga shab ke sath kahin
dekhna tum mera kamal ab ke
main nahin tera KHak-dan mein kahin
dil mein aaya ye kya KHayal ab ke
yaad-e-mazi na KHwab-e-mustaqbil
yun hua hai mera zawal ab ke
chhuTe jate hain hath se patwar
mujh ko mauj-e-rawan sambhaal ab ke
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 561)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.