ki rah na jaen badan par suragh pani ke
ki rah na jaa.eñ badan par surāġh paanī ke
lahū se dho rahe haiñ ham yeh daaġh paanī ke
kisī ko paar lagāyā kisī ko ġharq kiyā
yahī bache-khuche se haiñ farāġh paanī ke
alag rivāyateñ thiiñ ḳhvāb-zād nagrī kī
sharāb ke the ghaḌe aur ayāġh paanī ke
nahīñ hai zom-e-harārat vagarna ham jaise
Thikāne pal meñ lagā deñ dimāġh paanī ke
manā.ī ḳhuub divālī ki mere sā.īñ ne
fasīl-e-shab pe jalā.e charāġh paanī ke
daraḳht niiñd ke 'naqqāsh' phuul sapnoñ ke
chalo banā.eñ kahīñ sabz-bāġh paanī ke
ki rah na jaen badan par suragh pani ke
lahu se dho rahe hain hum yeh dagh pani ke
kisi ko par lagaya kisi ko gharq kiya
yahi bache-khuche se hain faragh pani ke
alag riwayaten thin KHwab-zad nagri ki
sharab ke the ghaDe aur ayagh pani ke
nahin hai zom-e-hararat wagarna hum jaise
Thikane pal mein laga den dimagh pani ke
manai KHub diwali ki mere sain ne
fasil-e-shab pe jalae charagh pani ke
daraKHt nind ke 'naqqash' phul sapnon ke
chalo banaen kahin sabz-bagh pani ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.