ki bahut koshishen magar na hui
kī bahut koshisheñ magar na huī
bin tire zindagī basar na huī
vo ye bole ki jaan do apnī
aur ham se agar magar na huī
jo tire hijr meñ milī ham ko
bas usī raat kī sahar na huī
jab in āñkhoñ ke ashk suukh ga.e
tab se bārish kabhī idhar na huī
muntazir ham usī karam ke the
par 'ināyat kī ik nazar na huī
gum the vo kis ḳhayāl meñ ki unheñ
mere jaane kī bhī ḳhabar na huī
raat din tum ne jis ko māñgā thā
vo hī hāsil tumheñ 'asar' na huī
ki bahut koshishen magar na hui
bin tere zindagi basar na hui
wo ye bole ki jaan do apni
aur hum se agar magar na hui
jo tere hijr mein mili hum ko
bas usi raat ki sahar na hui
jab in aankhon ke ashk sukh gae
tab se barish kabhi idhar na hui
muntazir hum usi karam ke the
par 'inayat ki ek nazar na hui
gum the wo kis KHayal mein ki unhen
mere jaane ki bhi KHabar na hui
raat din tum ne jis ko manga tha
wo hi hasil tumhein 'asar' na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.