ki hai koi hasin KHata har KHata ke sath
kī hai koī hasīn ḳhatā har ḳhatā ke saath
thoḌā sā pyaar bhī mujhe de do sazā ke saath
gar Dūbnā hī apnā muqaddar hai to suno
Dūbeñge ham zarūr magar nāḳhudā ke saath
manzil se vo bhī duur thā aur ham bhī duur the
ham ne bhī dhuul uḌaa.ī bahut rahnumā ke saath
raqs-e-sabā ke jashn meñ ham tum bhī nāchte
ai kaash tum bhī aa ga.e hote sabā ke saath
ikkīsvīñ sadī kī taraf ham chale to haiñ
fitne bhī jaag uTThe haiñ āvāz-e-pā ke saath
aisā lagā ġharībī kī rekhā se huuñ buland
pūchhā kisī ne haal kuchh aisī adā ke saath
ki hai koi hasin KHata har KHata ke sath
thoDa sa pyar bhi mujhe de do saza ke sath
gar Dubna hi apna muqaddar hai to suno
Dubenge hum zarur magar naKHuda ke sath
manzil se wo bhi dur tha aur hum bhi dur the
hum ne bhi dhul uDai bahut rahnuma ke sath
raqs-e-saba ke jashn mein hum tum bhi nachte
ai kash tum bhi aa gae hote saba ke sath
ikkiswin sadi ki taraf hum chale to hain
fitne bhi jag uTThe hain aawaz-e-pa ke sath
aisa laga gharibi ki rekha se hun buland
puchha kisi ne haal kuchh aisi ada ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.