ki KHata par baja kiya maine
kī ḳhatā par bajā kiyā maiñ ne
tujh ko jalva-numā kiyā maiñ ne
ḳhud ko aise fanā kiyā maiñ ne
farz apnā adā kiyā maiñ ne
merī dīvāngī bhī den tirī
kab kisī se gila kiyā maiñ ne
baañT dī jā.edād bachchoñ meñ
sochtā huuñ ye kyā kiyā maiñ ne
raah kāñToñ bharī thī manzil kī
azm se rāsta kiyā maiñ ne
ek tū jo bhulā.e baiThā hai
yaad tujh ko sadā kiyā maiñ ne
merī duniyā ujaaḌ dī us ne
baaġh jis kā harā kiyā maiñ ne
tū ne jis haal meñ rakhā mujh ko
shukr terā adā kiyā maiñ ne
kaise hogā burā 'ayāz' mirā
kab kisī kā burā kiyā maiñ ne
ki KHata par baja kiya main ne
tujh ko jalwa-numa kiya main ne
KHud ko aise fana kiya main ne
farz apna ada kiya main ne
meri diwangi bhi den teri
kab kisi se gila kiya main ne
banT di jaedad bachchon mein
sochta hun ye kya kiya main ne
rah kanTon bhari thi manzil ki
azm se rasta kiya main ne
ek tu jo bhulae baiTha hai
yaad tujh ko sada kiya main ne
meri duniya ujaD di us ne
bagh jis ka hara kiya main ne
tu ne jis haal mein rakha mujh ko
shukr tera ada kiya main ne
kaise hoga bura 'ayaz' mera
kab kisi ka bura kiya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.