ki mere taDapne ki na tadbir kisi ne
ki mere taDapne ki na tadbir kisi ne
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
kī mere taḌapne kī na tadbīr kisī ne
us kī na dikhā.ī mujhe tasvīr kisī ne
khānoñ se manoñ ġham ke bhī serī nahīñ hotī
kyā mujh ko khilā dī kahīñ iksīr kisī ne
ye kohkan-o-qais yūñhī mar ga.e āḳhir
dekhī na kabhī aah kī tāsīr kisī ne
shaad us nigah-e-yār ke dhoke meñ huā huuñ
maarā hai mere siine meñ jab tiir kisī ne
ye reḳhta vo hai ki koī Dhā nahīñ saktā
'ārif' kahīñ dekhī hai ye ta.amīr kisī ne
ki mere taDapne ki na tadbir kisi ne
us ki na dikhai mujhe taswir kisi ne
khanon se manon gham ke bhi seri nahin hoti
kya mujh ko khila di kahin iksir kisi ne
ye kohkan-o-qais yunhi mar gae aaKHir
dekhi na kabhi aah ki tasir kisi ne
shad us nigah-e-yar ke dhoke mein hua hun
mara hai mere sine mein jab tir kisi ne
ye reKHta wo hai ki koi Dha nahin sakta
'arif' kahin dekhi hai ye tamir kisi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.