kijiye aur sawalat na zati mujhse
kījiye aur savālāt na zaatī mujh se
itnī shohrat bhī sambhālī nahīñ jaatī mujh se
naam ashyā ke batā.e magar ai hikmat-e-ġhaib
kaash tū merī haqīqat na chhupātī mujh se
dil-shikan ahd-shikan sabr-shikan qadr-shikan
pūchh le apne sab alqāb-e-sifātī mujh se
haar jaatā maiñ ḳhushī se ki vafā kā thā savāl
jiit jaatī vo agar shart lagātī mujh se
kijiye aur sawalat na zati mujh se
itni shohrat bhi sambhaali nahin jati mujh se
nam ashya ke batae magar ai hikmat-e-ghaib
kash tu meri haqiqat na chhupati mujh se
dil-shikan ahd-shikan sabr-shikan qadr-shikan
puchh le apne sab alqab-e-sifati mujh se
haar jata main KHushi se ki wafa ka tha sawal
jit jati wo agar shart lagati mujh se
- Book : Aiwan (Pg. 59)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.