kijiyega apna dar sau bar band
kījiyegā apnā dar sau baar band
ye na hoñge dīda-e-bedār band
ho ga.ī phir barhamī-e-yār band
jab paḌhe tārīf meñ do-chār band
aañkh meñ qatre nahīñ haiñ ashk ke
zarf meñ hai qulzum-e-zaḳhḳhār band
kar rahī hai jumbish-e-abrū halāl
myaan meñ ye kījiye talvār band
ab to zālim khol de band-e-naqāb
kar rahā hai aañkh ye bīmār band
ham se chhuTegī na hargiz tāñk-jhāñk
laakh kiije rauzan-e-dīvār band
dekh kar gul-rū ko mere baaġh meñ
bulbuloñ kī ho ga.ī minqār band
bijliyāñ tujh par girīñ ai bāġhbāñ
ye bahāreñ aur dar-e-gulzār band
khel samjhā thā tajallī ko 'kalīm'
ho ga.iiñ āñkheñ sar-e-kohsār band
vo ayādat ko mirī aa.e haiñ ab
ho chukī jab nabz kī raftār band
us bulandī par ibādat hai mirī
jis jagah haiñ sub.ha-o-zunnār band
shak guzartā hai sadā-e-sūr kā
kījiye pāzeb kī jhankār band
hogī 'jauhar' par ināyat kab tirī
hogā kab ye āñsuoñ kā taar band
kijiyega apna dar sau bar band
ye na honge dida-e-bedar band
ho gai phir barhami-e-yar band
jab paDhe tarif mein do-chaar band
aankh mein qatre nahin hain ashk ke
zarf mein hai qulzum-e-zaKHKHar band
kar rahi hai jumbish-e-abru halal
myan mein ye kijiye talwar band
ab to zalim khol de band-e-naqab
kar raha hai aankh ye bimar band
hum se chhuTegi na hargiz tank-jhank
lakh kije rauzan-e-diwar band
dekh kar gul-ru ko mere bagh mein
bulbulon ki ho gai minqar band
bijliyan tujh par girin ai baghban
ye bahaaren aur dar-e-gulzar band
khel samjha tha tajalli ko 'kalim'
ho gain aankhen sar-e-kohsar band
wo ayaadat ko meri aae hain ab
ho chuki jab nabz ki raftar band
us bulandi par ibaadat hai meri
jis jagah hain subha-o-zunnar band
shak guzarta hai sada-e-sur ka
kijiye pazeb ki jhankar band
hogi 'jauhar' par inayat kab teri
hoga kab ye aansuon ka tar band
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.