kisa-e-gul mein band thi KHushbu
kīsa-e-gul meñ band thī ḳhushbū
kis qadar ḳhud-pasand thī ḳhushbū
sar-nigūñ thā ġhurūr-e-ġhuncha-o-gul
sar-ba-sar sar-buland thī ḳhushbū
ahl-e-gulshan the mahv-e-rāmish-o-rañg
haañ magar fikrmand thī ḳhushbū
uḌ ga.ī āmad-e-ḳhizāñ se qabl
vāqa.ī aql-mand thī ḳhushbū
ān-e-vāhid meñ aa ke lauT ga.ī
āhuoñ kī zaqand thī ḳhushbū
daftar-e-gulsitāñ thā tūlānī
aur bas harf-e-chand thī ḳhushbū
mūjib-e-ishq thī magar 'fartāsh'
āgahī thī na pand thī ḳhushbū
kisa-e-gul mein band thi KHushbu
kis qadar KHud-pasand thi KHushbu
sar-nigun tha ghurur-e-ghuncha-o-gul
sar-ba-sar sar-buland thi KHushbu
ahl-e-gulshan the mahw-e-ramish-o-rang
han magar fikrmand thi KHushbu
uD gai aamad-e-KHizan se qabl
waqai aql-mand thi KHushbu
aan-e-wahid mein aa ke lauT gai
aahuon ki zaqand thi KHushbu
daftar-e-gulsitan tha tulani
aur bas harf-e-chand thi KHushbu
mujib-e-ishq thi magar 'fartash'
aagahi thi na pand thi KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.