kin bastiyon ke yaro hum KHwab dekhte hain
kin bastiyoñ ke yaaro ham ḳhvāb dekhte haiñ
jañgal pahāḌ dariyā tālāb dekhte haiñ
begānī lag rahīñ haiñ mausam kī bārisheñ bhī
mahtāb sūratoñ ko be-āb dekhte haiñ
sach mai meñ jhuuT paanī itnā milā diyā hai
ab jis ko dekhte haiñ sairāb dekhte haiñ
ik zulf ke bhañvar se jaise nikal ke aa.e
ik jism kī nadī meñ girdāb dekhte haiñ
kal jis jagah paḌā thā paanī kā kaal ham par
aaj us jagah lahū kā sailāb dekhte haiñ
ai be-hunar sambhal kar chalnā hai shā.irī meñ
sher-o-suḳhan ke māhir ahbāb dekhte haiñ
kin bastiyon ke yaro hum KHwab dekhte hain
jangal pahaD dariya talab dekhte hain
begani lag rahin hain mausam ki barishen bhi
mahtab suraton ko be-ab dekhte hain
sach mai mein jhuT pani itna mila diya hai
ab jis ko dekhte hain sairab dekhte hain
ek zulf ke bhanwar se jaise nikal ke aae
ek jism ki nadi mein girdab dekhte hain
kal jis jagah paDa tha pani ka kal hum par
aaj us jagah lahu ka sailab dekhte hain
ai be-hunar sambhal kar chalna hai shairi mein
sher-o-suKHan ke mahir ahbab dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.