Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kin hawalon mein aa ke uljha hun

Syed Shakeel Desnavi

kin hawalon mein aa ke uljha hun

Syed Shakeel Desnavi

MORE BYSyed Shakeel Desnavi

    kin havāloñ meñ aa ke uljhā huuñ

    terī āñkhoñ meñ ḳhud ko paḌhtā huuñ

    kaun mujh meñ hai bar-sar-e-paikār

    roz kis se jihād kartā huuñ

    raah muḌ muḌ ke lauT aatī hai

    ghar se jab bhī zarā nikaltā huuñ

    rishta-e-dil kisī se TuuTā hai

    roz rāheñ na.ī badaltā huuñ

    āñsuoñ se havā ke āñchal par

    kis sitamgar naam likhtā huuñ

    kin hawalon mein aa ke uljha hun

    teri aankhon mein KHud ko paDhta hun

    kaun mujh mein hai bar-sar-e-paikar

    roz kis se jihad karta hun

    rah muD muD ke lauT aati hai

    ghar se jab bhi zara nikalta hun

    rishta-e-dil kisi se TuTa hai

    roz rahen nai badalta hun

    aansuon se hawa ke aanchal par

    kis sitamgar ka nam likhta hun

    Source :
    • Book : Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 44)
    • Author : Sayed Shakeel Desnavi
    • Publication : Adshot Publications, (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now