kin KHayalon mein tu dilbar paDa hai
kin ḳhayāloñ meñ tū dilbar paḌā hai
ek se ek yahāñ par paḌā hai
maiñ vo darvesh huuñ jis kā zamāne
sat.h-e-aflāk pe bistar paḌā hai
āsmāñ kī ye bulandī nahīñ kuchh
āsmāñ to mire sar par paḌā hai
ek nādāñ se sanam kī galī meñ
ek ustād hunar-var paḌā hai
'mīr' kahte the jise sañg-e-girāñ
mere dil par vahī patthar paḌā hai
dhuup meñ ḳhvār phirūñ maiñ mirā dil
zulf ke saa.e meñ ḳhush-tar paḌā hai
mere ashkoñ meñ mire sher haiñ tar
saarā ḳhitta zamīñ kā tar paḌā hai
yuuñ hī 'hāvī' maiñ ugaltā nahīñ dur
mere qadmoñ meñ samundar paḌā hai
kin KHayalon mein tu dilbar paDa hai
ek se ek yahan par paDa hai
main wo darwesh hun jis ka zamane
sath-e-aflak pe bistar paDa hai
aasman ki ye bulandi nahin kuchh
aasman to mere sar par paDa hai
ek nadan se sanam ki gali mein
ek ustad hunar-war paDa hai
'mir' kahte the jise sang-e-giran
mere dil par wahi patthar paDa hai
dhup mein KHwar phirun main mera dil
zulf ke sae mein KHush-tar paDa hai
mere ashkon mein mere sher hain tar
sara KHitta zamin ka tar paDa hai
yun hi 'hawi' main ugalta nahin dur
mere qadmon mein samundar paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.