kin mausamon ke yaro hum KHwab dekhte hain
kin mausamoñ ke yaaro ham ḳhvāb dekhte haiñ
jañgal pahāḌ dariyā tālāb dekhte haiñ
is āsmāñ se aage ik aur āsmāñ par
mahtāb se judā ik mahtāb dekhte haiñ
kal jis jagah paḌā thā paanī kā kaal ham par
aaj us jagah lahū kā sailāb dekhte haiñ
us gul pe aa rahī haiñ sau tarah kī bahāreñ
ham bhī hazār rañgoñ ke ḳhvāb dekhte haiñ
dariyā hisāb o had meñ apnī ravāñ davāñ hai
kuchh log haiñ ki is meñ girdāb dekhte haiñ
ai be-hunar sambhal kar chal rāh-e-shā.irī meñ
fan-e-suḳhan ke māhir ahbāb dekhte haiñ
kin mausamon ke yaro hum KHwab dekhte hain
jangal pahaD dariya talab dekhte hain
is aasman se aage ek aur aasman par
mahtab se juda ek mahtab dekhte hain
kal jis jagah paDa tha pani ka kal hum par
aaj us jagah lahu ka sailab dekhte hain
us gul pe aa rahi hain sau tarah ki bahaaren
hum bhi hazar rangon ke KHwab dekhte hain
dariya hisab o had mein apni rawan dawan hai
kuchh log hain ki is mein girdab dekhte hain
ai be-hunar sambhal kar chal rah-e-shairi mein
fan-e-suKHan ke mahir ahbab dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.