kin uljhanon mein chhoD gai justuju mujhe
kin uljhanoñ meñ chhoḌ ga.ī justujū mujhe
maiñ aarzū ko DhūñDhtā huuñ aarzū mujhe
ummīd ne bhī haath se dāman chhuḌā liyā
kyā haal ho jo aise meñ mil jaa.e tū mujhe
maqsūd-e-dil kuchh aur hai zauq-e-nazar kuchh aur
kis kashmakash meñ Daal ga.ī aarzū mujhe
qurbān be-ḳhudī ke kiyā sab se be-niyāz
apnī talāsh hai na tirī justujū mujhe
larzā thī jis ḳhayāl se duniyā-e-ārzū
'ālam vo aa rahā hai nazar hū-bahū mujhe
har ik nafas hai sāz-e-mohabbat banā huā
baḳhshī hai soz-e-ishq ne vo aabrū mujhe
ik markaz-e-jamāl hai merī nigāh-e-shauq
pahuñchā diyā hai kis ne tire rū-ba-rū mujhe
shāyad 'munīr' ishq kī takmīl ho ga.ī
bār-e-garāñ hai aaj har ik aarzū mujhe
kin uljhanon mein chhoD gai justuju mujhe
main aarzu ko DhunDhta hun aarzu mujhe
ummid ne bhi hath se daman chhuDa liya
kya haal ho jo aise mein mil jae tu mujhe
maqsud-e-dil kuchh aur hai zauq-e-nazar kuchh aur
kis kashmakash mein Dal gai aarzu mujhe
qurban be-KHudi ke kiya sab se be-niyaz
apni talash hai na teri justuju mujhe
larza thi jis KHayal se duniya-e-arzu
'alam wo aa raha hai nazar hu-bahu mujhe
har ek nafas hai saz-e-mohabbat bana hua
baKHshi hai soz-e-ishq ne wo aabru mujhe
ek markaz-e-jamal hai meri nigah-e-shauq
pahuncha diya hai kis ne tere ru-ba-ru mujhe
shayad 'munir' ishq ki takmil ho gai
bar-e-garan hai aaj har ek aarzu mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.