kinara-dar-kinara mustaqil manjdhaar hai yun bhi
kināra-dar-kināra mustaqil mañjdhār hai yuuñ bhī
mire paanī meñ jo kuchh hai vo yuuñ pur-asrār hai yuuñ bhī
bahā jaatā huuñ aksar duur lamhoñ ke hisāroñ se
mire Thahrāo ke āġhosh meñ raftār hai yuuñ bhī
kahāñ ḳhaliyoñ ke vīrānoñ meñ us ko DhūñDne jaa.eñ
zamānoñ kā sirā mere sire se paar hai yuuñ bhī
yahāñ se yuuñ bhī ik tajrīd kī sarhad ubhartī hai
aur apne darmiyāñ anfās kī dīvār hai yuuñ bhī
hamāre gumbadoñ kī guuñj kā chehrā nahīñ to kyā
jo tujh se kah nahīñ sakte pas-e-iz.hār hai yuuñ bhī
rahā kyā farq andar aur bāhar meñ 'riyāz' āḳhir
jo mujh meñ kho chukā hai mujh se vo sab paar hai yuuñ bhī
kinara-dar-kinara mustaqil manjdhaar hai yun bhi
mere pani mein jo kuchh hai wo yun pur-asrar hai yun bhi
baha jata hun aksar dur lamhon ke hisaron se
mere Thahrao ke aaghosh mein raftar hai yun bhi
kahan KHaliyon ke viranon mein us ko DhunDne jaen
zamanon ka sira mere sire se par hai yun bhi
yahan se yun bhi ek tajrid ki sarhad ubharti hai
aur apne darmiyan anfas ki diwar hai yun bhi
hamare gumbadon ki gunj ka chehra nahin to kya
jo tujh se kah nahin sakte pas-e-izhaar hai yun bhi
raha kya farq andar aur bahar mein 'riyaz' aaKHir
jo mujh mein kho chuka hai mujh se wo sab par hai yun bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.