kinare dariya ki wusat ka dhyan hote hain
kinare dariya ki wusat ka dhyan hote hain
Bushra Bakhtiyar Khan
MORE BYBushra Bakhtiyar Khan
kināre dariyā kī vus.at kā dhyān hote haiñ
ziyāda pyaar se ham bad-gumān hote haiñ
hameñ batāyā gayā thā ki vo hī manzil haiñ
ham aise log ki jo be-nishān hote haiñ
ye pyaar ruuh kā saaya dikhānā jāntā hai
jo lafz hote nahīñ vo bayān hote haiñ
ye ham jo kahte haiñ tum ho to sab hamārā hai
zarūrateñ nahīñ hotīñ ye maan hote haiñ
mohabbatoñ meñ zabāneñ nahīñ khulā kartīñ
jo pyaar karte haiñ vo be-zabān hote haiñ
kinare dariya ki wusat ka dhyan hote hain
ziyaada pyar se hum bad-guman hote hain
hamein bataya gaya tha ki wo hi manzil hain
hum aise log ki jo be-nishan hote hain
ye pyar ruh ka saya dikhana jaanta hai
jo lafz hote nahin wo bayan hote hain
ye hum jo kahte hain tum ho to sab hamara hai
zaruraten nahin hotin ye man hote hain
mohabbaton mein zabanen nahin khula kartin
jo pyar karte hain wo be-zaban hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.