kinare par jab usne panw Dale
kināre par jab us ne paañv Daale
nadī paanī se bolī jā nahā le
use kahnā koī rastā nikāle
barā.e naam hī mujh ko manā le
gale se tū jise hañs kar lagā le
vo saare shahr ko sar par uThā le
qayāmat tak vahī zinda rahegā
jise dard-e-mohabbat maar Daale
ye jo sahrā hai dīvānoñ kā ghar hai
na dīvāreñ na darvāze na taale
nahīñ haiñ ishq kī daulat se vāqif
mirī barbādiyoñ par hañsne vaale
tasavvur meñ tirī aahaT ko sun kar
ḳhushī se naach uThte haiñ ujāle
vo pāgal hai guloñ meñ khojtā hai
pasīne se tire ḳhushbū banā le
ab us se yuuñ bichhaḌnā bhī nahīñ hai
use kahnā na.e pahlū nikāle
nahīñ hai ab kisī āñdhī ke bas meñ
mire ghar se tirī ḳhushbū uḌā le
kinare par jab us ne panw Dale
nadi pani se boli ja naha le
use kahna koi rasta nikale
barae nam hi mujh ko mana le
gale se tu jise hans kar laga le
wo sare shahr ko sar par uTha le
qayamat tak wahi zinda rahega
jise dard-e-mohabbat mar Dale
ye jo sahra hai diwanon ka ghar hai
na diwaren na darwaze na tale
nahin hain ishq ki daulat se waqif
meri barbaadiyon par hansne wale
tasawwur mein teri aahaT ko sun kar
KHushi se nach uThte hain ujale
wo pagal hai gulon mein khojta hai
pasine se tere KHushbu bana le
ab us se yun bichhaDna bhi nahin hai
use kahna nae pahlu nikale
nahin hai ab kisi aandhi ke bas mein
mere ghar se teri KHushbu uDa le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.