kinayatan bhi tera nam jab suna maine
kināyatan bhī tirā naam jab sunā maiñ ne
vufūr-e-shauq meñ sar ko jhukā diyā maiñ ne
hujūm-e-ġham meñ adā-e-qalandarī na ga.ī
masarratoñ se bhī rakkhā hai fāsla maiñ ne
butoñ ne hausla-afzā.iyāñ to kiiñ merī
magar tujhī ko pukārā mire ḳhudā maiñ ne
tamām 'umr añdheroñ se merī jang rahī
bujhā charāġh to dil ko jalā liyā maiñ ne
tamām shahr ke patthar mirī taraf aa.e
ḳhirad ko jab bhī dikhāyā hai aa.ina maiñ ne
mire ḳhudā mire she'roñ ko zindagī de de
har ek she'r pe māñgī hai ye du'ā maiñ ne
kinayatan bhi tera nam jab suna main ne
wufur-e-shauq mein sar ko jhuka diya main ne
hujum-e-gham mein ada-e-qalandari na gai
masarraton se bhi rakkha hai fasla main ne
buton ne hausla-afzaiyan to kin meri
magar tujhi ko pukara mere KHuda main ne
tamam 'umr andheron se meri jang rahi
bujha charagh to dil ko jala liya main ne
tamam shahr ke patthar meri taraf aae
KHirad ko jab bhi dikhaya hai aaina main ne
mere KHuda mere she'ron ko zindagi de de
har ek she'r pe mangi hai ye du'a main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.