kiran kiran ye kisi dida-e-hasad mein hai
kiran kiran ye kisī dīda-e-hasad meñ hai
har ik charāġh hamārā dhueñ kī zad meñ hai
jise nikālā hai hindsoñ se zā.icha-gar ne
baqā hamārī usī pāñch ke adad meñ hai
har ek shaḳhs kī qāmat ko naap aur batā
mire alāva yahāñ kaun apne qad meñ hai
gharoñ ke sahn kuchh aise sikuḌ simaT ga.e haiñ
har ek shaḳhs makīñ jis tarah lahad meñ hai
lage haiñ shāḳhoñ pe jis din se phūl-pāt na.e
har ek peḌ havelī kā chashm-e-bad meñ hai
'nabīl' aise adhūre haiñ roz-o-shab jaise
mirā azal kisī andesha-e-abad meñ hai
kiran kiran ye kisi dida-e-hasad mein hai
har ek charagh hamara dhuen ki zad mein hai
jise nikala hai hindson se zaicha-gar ne
baqa hamari usi panch ke adad mein hai
har ek shaKHs ki qamat ko nap aur bata
mere alawa yahan kaun apne qad mein hai
gharon ke sahn kuchh aise sikuD simaT gae hain
har ek shaKHs makin jis tarah lahad mein hai
lage hain shaKHon pe jis din se phul-pat nae
har ek peD haweli ka chashm-e-bad mein hai
'nabil' aise adhure hain roz-o-shab jaise
mera azal kisi andesha-e-abad mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.