kirchi kirchi ho jate hain aksar mere KHwab
kirchī kirchī ho jaate haiñ aksar mere ḳhvāb
mujh se pahle so jaate haiñ aksar mere ḳhvāb
zehn ko banjar kar detī hai soch kī siim aur thuur
vahshat dil meñ bo jaate haiñ aksar mere ḳhvāb
band āñkhoñ se dekhūñ kab tak maiñ terī tasvīr
yaad meñ terī kho jaate haiñ aksar mere ḳhvāb
dhīre dhīre mar jaatī hai jab bhī ek umañg
aa kar mujh par ro jaate haiñ aksar mere ḳhvāb
'nāz' kisī ko dekh ke jūñhī dhaḌke merā dil
aage pīchhe ho jaate haiñ aksar mere ḳhvāb
kirchi kirchi ho jate hain aksar mere KHwab
mujh se pahle so jate hain aksar mere KHwab
zehn ko banjar kar deti hai soch ki sim aur thur
wahshat dil mein bo jate hain aksar mere KHwab
band aankhon se dekhun kab tak main teri taswir
yaad mein teri kho jate hain aksar mere KHwab
dhire dhire mar jati hai jab bhi ek umang
aa kar mujh par ro jate hain aksar mere KHwab
'naz' kisi ko dekh ke junhi dhaDke mera dil
aage pichhe ho jate hain aksar mere KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.