kirdar dastan se uTh kar chala gaya
kirdār dāstān se uTh kar chalā gayā
ik shaḳhs yuuñ jahān se uTh kar chalā gayā
har ik ḳhayāl-e-ḳhām tire pyaar kī qasam
yādoñ ke darmiyān se uTh kar chalā gayā
kuchh to ḳhalā meñ ḳhaas hai taara ye soch kar
TuuTā aur āsmān se uTh kar chalā gayā
us ke bhī sar pe dhuup kī ik aag thī lagī
yuuñ maiñ to sā.ebān se uTh kar chalā gayā
us ko na vāpsī kā kabhī rāsta milā
jo lafz bhī zabān se uTh kar chalā gayā
aadam kisī ke vāste jannat ko chhoḌ kar
'mas.ūd' kitnī shaan se uTh kar chalā gayā
kirdar dastan se uTh kar chala gaya
ek shaKHs yun jahan se uTh kar chala gaya
har ek KHayal-e-KHam tere pyar ki qasam
yaadon ke darmiyan se uTh kar chala gaya
kuchh to KHala mein KHas hai tara ye soch kar
TuTa aur aasman se uTh kar chala gaya
us ke bhi sar pe dhup ki ek aag thi lagi
yun main to saeban se uTh kar chala gaya
us ko na wapsi ka kabhi rasta mila
jo lafz bhi zaban se uTh kar chala gaya
aadam kisi ke waste jannat ko chhoD kar
'masud' kitni shan se uTh kar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.