Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kirdar kah rahe hain kuchh apni zaban mein

Sagheer Malal

kirdar kah rahe hain kuchh apni zaban mein

Sagheer Malal

MORE BYSagheer Malal

    kirdār kah rahe haiñ kuchh apnī zabān meñ

    kitnī kahāniyāñ haiñ isī dāstān meñ

    jab aaj tak na baat mukammal huī koī

    ye log bolne lage kyuuñ darmiyān meñ

    barsoñ meñ kaT rahā hai yahāñ arsa-e-hayāt

    sadiyāñ guzar rahī haiñ kahīñ ek aan meñ

    us din ke ba.ad sochnā mahdūd kar diyā

    aisā ḳhayāl ek din aayā thā dhyān meñ

    hone intihā hai vahī aaj tak 'malāl'

    jo ibtidā meñ ho gayā is ḳhāk-dān meñ

    kirdar kah rahe hain kuchh apni zaban mein

    kitni kahaniyan hain isi dastan mein

    jab aaj tak na baat mukammal hui koi

    ye log bolne lage kyun darmiyan mein

    barson mein kaT raha hai yahan arsa-e-hayat

    sadiyan guzar rahi hain kahin ek aan mein

    us din ke baad sochna mahdud kar diya

    aisa KHayal ek din aaya tha dhyan mein

    hone ki intiha hai wahi aaj tak 'malal'

    jo ibtida mein ho gaya is KHak-dan mein

    Source :
    • Book : Urdu Adab (Pg. 51)
    • Author : Iqbal Hussain
    • Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
    • Edition : Jan, Feb. Mar 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now