kirdar mein farishton ke jaise bhi hote hain
kirdār meñ farishtoñ ke jaise bhī hote haiñ
kuchh log har samāj meñ achchhe bhī hote haiñ
mil jā.eñge vo tujh ko unheñ tū talāsh kar
haañ ko.ele kī kaan meñ hiire bhī hote haiñ
dāman bachā ke un se guzarnā hai aap ko
gul hī nahīñ gulistāñ meñ kāñTe bhī hote haiñ
chehre ko dekh kar na koī faisla karo
logoñ ke chehre par ka.ī chehre bhī hote haiñ
ghar ke baḌe buzurgoñ kī 'izzat karo sadā
maanā davā kī tarh ye kaḌve bhī hote haiñ
āsān zindagī kā safar hai bahut magar
'yāsīn' us ke rāste TeḌhe bhī hote haiñ
kirdar mein farishton ke jaise bhi hote hain
kuchh log har samaj mein achchhe bhi hote hain
mil jaenge wo tujh ko unhen tu talash kar
han koele ki kan mein hire bhi hote hain
daman bacha ke un se guzarna hai aap ko
gul hi nahin gulistan mein kanTe bhi hote hain
chehre ko dekh kar na koi faisla karo
logon ke chehre par kai chehre bhi hote hain
ghar ke baDe buzurgon ki 'izzat karo sada
mana dawa ki tarh ye kaDwe bhi hote hain
aasan zindagi ka safar hai bahut magar
'yasin' us ke raste TeDhe bhi hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.