kirnen jagin to sabze pe jhilmil aansu bol uThe
kirneñ jāgīñ to sabze pe jhilmil aañsū bol uThe
raat ko tanhā.ī meñ shabnam chupke chupke roī hai
ik ik kar ke TuuT ga.e sab ḳhvāb na.ī sub.hoñ vaale
rote rote chashm-e-tamannā pal do pal ko soī hai
armānoñ kī nuqra.ī sāhil vīrāne se lagte haiñ
mauj-e-talātum meñ ye kis ne dil kī nayyā Duboī hai
chupke se jab aa jaate haiñ yādoñ ke ġham-ḳhvār bahut
aañsū chhalke aate haiñ tab kaisī ye dil-jūī hai
zaḳhm-e-tamannā sulgā lo aur saath mire do-gām chalo
dekh to leñ saa.e meñ khaḌā us moḌ pe jaise koī hai
dil ke āñgan meñ 'husnā' jī zaḳhm mahakte haiñ ab ke
ashkoñ kī barsāt meñ ham ne fasl anokhī boī hai
kirnen jagin to sabze pe jhilmil aansu bol uThe
raat ko tanhai mein shabnam chupke chupke roi hai
ek ek kar ke TuT gae sab KHwab nai subhon wale
rote rote chashm-e-tamanna pal do pal ko soi hai
armanon ki nuqrai sahil virane se lagte hain
mauj-e-talatum mein ye kis ne dil ki nayya Duboi hai
chupke se jab aa jate hain yaadon ke gham-KHwar bahut
aansu chhalke aate hain tab kaisi ye dil-jui hai
zaKHm-e-tamanna sulga lo aur sath mere do-gam chalo
dekh to len sae mein khaDa us moD pe jaise koi hai
dil ke aangan mein 'husna' ji zaKHm mahakte hain ab ke
ashkon ki barsat mein hum ne fasl anokhi boi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.