kis arsa-e-hayat mein rakkha gaya mujhe
kis arsa-e-hayāt meñ rakkhā gayā mujhe
din-rāt sānehāt meñ rakkhā gayā mujhe
har-gām zeb-e-dār huā hai mirā vajūd
aise bhī iltifāt meñ rakkhā gayā mujhe
ḳhushbū ke naam par mirī sāñseñ kashīd kiiñ
mausam ke inhitāt meñ rakkhā gayā mujhe
de kar fareb-e-qurb mujhe fāsle diye
tark-e-ta.alluqāt meñ rakkhā gayā mujhe
pahle mirī fanā pe liye mere dastaḳhat
tab jā ke mumkināt meñ rakkhā gayā mujhe
rotā rahā lipaT ke mire saath terā vasl
jab hijr kī qanāt meñ rakkhā gayā mujhe
kis arsa-e-hayat mein rakkha gaya mujhe
din-raat sanehat mein rakkha gaya mujhe
har-gam zeb-e-dar hua hai mera wajud
aise bhi iltifat mein rakkha gaya mujhe
KHushbu ke nam par meri sansen kashid kin
mausam ke inhitat mein rakkha gaya mujhe
de kar fareb-e-qurb mujhe fasle diye
tark-e-talluqat mein rakkha gaya mujhe
pahle meri fana pe liye mere dastaKHat
tab ja ke mumkinat mein rakkha gaya mujhe
rota raha lipaT ke mere sath tera wasl
jab hijr ki qanat mein rakkha gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.