kis aziyyat mein mubtala hun main
kis aziyyat meñ mubtalā huuñ maiñ
de mujhe izn boltā huuñ maiñ
fāsla ek sā hai chāroñ taraf
apne markaz pe dā.era huuñ maiñ
khul rahe haiñ muqatta’āt-e-zīst
ḳhud pe āsān ho rahā huuñ maiñ
log is vāste nahīñ milte
jānte haiñ ki aa.ina huuñ maiñ
saaf pahchānā jaatā huuñ 'qāsim'
aap ke shahr meñ nayā huuñ maiñ
kis aziyyat mein mubtala hun main
de mujhe izn bolta hun main
fasla ek sa hai chaaron taraf
apne markaz pe daera hun main
khul rahe hain muqatta’at-e-zist
KHud pe aasan ho raha hun main
log is waste nahin milte
jaante hain ki aaina hun main
saf pahchana jata hun 'qasim'
aap ke shahr mein naya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.