kis bewafa se haal kaha iztirab ka
kis bewafa se haal kaha iztirab ka
Khwaja Lateef Ahmad Jareeh
MORE BYKhwaja Lateef Ahmad Jareeh
kis bevafā se haal kahā iztirāb kā
ḳhāna-ḳharāb us dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā
qāsid kī laash aa.ī hai ḳhat ke javāb meñ
manshā ye hai javāb na aa.e javāb kā
sun loge koī din meñ ki kumhlā gayā ye phuul
mukhḌā thā chāñd sā jo urūs-e-shabāb kā
qāsid ke dil meñ thā ki zabānī bhī kuchh kahe
hāzir magar mizāj na paayā janāb kā
taqsīr bhī gunāh bhī koī ḳhatā bhī ho
kahnā nahīñ hai haal tumhāre itaab kā
andesha hai na rūh-e-amīñ le uḌeñ 'jarīh'
huuñ ḳhāk-e-dar janāb-e-risālat-ma.āb kā
kis bewafa se haal kaha iztirab ka
KHana-KHarab us dil-e-KHana-KHarab ka
qasid ki lash aai hai KHat ke jawab mein
mansha ye hai jawab na aae jawab ka
sun loge koi din mein ki kumhla gaya ye phul
mukhDa tha chand sa jo urus-e-shabab ka
qasid ke dil mein tha ki zabani bhi kuchh kahe
hazir magar mizaj na paya janab ka
taqsir bhi gunah bhi koi KHata bhi ho
kahna nahin hai haal tumhaare itab ka
andesha hai na ruh-e-amin le uDen 'jarih'
hun KHak-e-dar janab-e-risalat-maab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.