kis chaman pe girna hai bijliyan samajhti hain
kis chaman pe girnā hai bijliyāñ samajhtī haiñ
shāḳh-e-gul kī tāqat ko āñdhiyāñ samajhtī haiñ
kaun phuul kaisā hai bāġhbān kyā jaane
phuul kī latāfat ko titliyāñ samajhtī haiñ
sirf taaza ḳhabroñ par e'timād mat karnā
kis kā bhaav kitnā hai manDiyāñ samajhtī haiñ
kaun aane vaalā hai is ġharīb-ḳhāne meñ
mere dil kī hālat ko siskiyāñ samajhtī haiñ
āj-kal ke beTe to kuchh samajh nahīñ paate
baap kī jafā-kārī beTiyāñ samajhtī haiñ
mere dil ko nisbat hai ab bhī aisī pariyoñ se
jo mirī duāoñ ko gāliyāñ samajhtī haiñ
hichkiyoñ se miltī hai yaad kī jhalak 'anjum'
nabz kī harārat ko uñgliyāñ samajhtī haiñ
kis chaman pe girna hai bijliyan samajhti hain
shaKH-e-gul ki taqat ko aandhiyan samajhti hain
kaun phul kaisa hai baghban kya jaane
phul ki latafat ko titliyan samajhti hain
sirf taza KHabron par e'timad mat karna
kis ka bhaw kitna hai manDiyan samajhti hain
kaun aane wala hai is gharib-KHane mein
mere dil ki haalat ko siskiyan samajhti hain
aaj-kal ke beTe to kuchh samajh nahin pate
bap ki jafa-kari beTiyan samajhti hain
mere dil ko nisbat hai ab bhi aisi pariyon se
jo meri duaon ko galiyan samajhti hain
hichkiyon se milti hai yaad ki jhalak 'anjum'
nabz ki hararat ko ungliyan samajhti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.