kis dasht-e-talab mein kho gae hum
kis dasht-e-talab meñ kho ga.e ham
saaya jo milā to so ga.e ham
lo aaj bhulā diyā tumheñ bhī
lo aaj tumhāre ho ga.e ham
ai shama-e-firāq bujh chukī shab
ai sā.at-e-vasl so ga.e ham
phir apnā nishāñ kahīñ na paayā
uTh kar tire saath to ga.e ham
yuuñ sub.h ke bhūle apne ghar ko
lauTe haiñ ki aur kho ga.e ham
jab aañkh khulī to ham nahīñ the
jaage haiñ ki ḳhvāb ho ga.e ham
ashkoñ ne ajiib gul khilā.e
kyā naqsh-o-nigār bo ga.e ham
khoyā hai use to ḳhud ko paayā
paayā hai use to kho ga.e ham
kis dasht-e-talab mein kho gae hum
saya jo mila to so gae hum
lo aaj bhula diya tumhein bhi
lo aaj tumhaare ho gae hum
ai shama-e-firaq bujh chuki shab
ai saat-e-wasl so gae hum
phir apna nishan kahin na paya
uTh kar tere sath to gae hum
yun subh ke bhule apne ghar ko
lauTe hain ki aur kho gae hum
jab aankh khuli to hum nahin the
jage hain ki KHwab ho gae hum
ashkon ne ajib gul khilae
kya naqsh-o-nigar bo gae hum
khoya hai use to KHud ko paya
paya hai use to kho gae hum
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 33)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.