Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis dil se hum irada-e-tark-e-junun karen

Ejaz Asif

kis dil se hum irada-e-tark-e-junun karen

Ejaz Asif

MORE BYEjaz Asif

    kis dil se ham irāda-e-tark-e-junūñ kareñ

    mumkin nahīñ ki ḳhvāhish-e-sahrā ḳhuuñ kareñ

    kuchh guftugū ho aaj urūs-e-bahār se

    kuchh ham ḳhizāñ-rasīda bhī hāsil sakūñ kareñ

    haañ be-kanāriyoñ se kareñ āshnā use

    haañ dard-e-intizār ko kuchh to fuzūñ kareñ

    manzil jis se mil na sake tā-abad surāġh

    vo raah iḳhtiyār batāo to kyuuñ kareñ

    deñ aarzū ko rañg-e-rah-e-yār-e-ḳhush-ḳhirām

    fursat mile to 'āsif'-o-'ḳhālid' bhī yuuñ kareñ

    kis dil se hum irada-e-tark-e-junun karen

    mumkin nahin ki KHwahish-e-sahra ka KHun karen

    kuchh guftugu ho aaj urus-e-bahaar se

    kuchh hum KHizan-rasida bhi hasil sakun karen

    han be-kanariyon se karen aashna use

    han dard-e-intizar ko kuchh to fuzun karen

    manzil ka jis se mil na sake ta-abad suragh

    wo rah iKHtiyar batao to kyun karen

    den aarzu ko rang-e-rah-e-yar-e-KHush-KHiram

    fursat mile to 'asif'-o-'KHalid' bhi yun karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now