kis dukh ke hain mare log
kis dukh ke haiñ maare log
ham jaise dukhiyāre log
jaane kyā kuchh sahrā sahrā
DhūñDhte haiñ banjāre log
sar-ba-garebāñ haiñ ulfat meñ
mehr-o-vafā ke maare log
dāġh-e-judā.ī de ke sidhāre
kaise kaise pyāre log
lauT ke ab tak kyoñ nahīñ aa.e
jaane vaale saare log
daulat-o-sarvat kaam na aa.ī
chal diye haath pasāre log
kis dukh ke hain mare log
hum jaise dukhiyare log
jaane kya kuchh sahra sahra
DhunDhte hain banjare log
sar-ba-gareban hain ulfat mein
mehr-o-wafa ke mare log
dagh-e-judai de ke sidhaare
kaise kaise pyare log
lauT ke ab tak kyon nahin aae
jaane wale sare log
daulat-o-sarwat kaam na aai
chal diye hath pasare log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.