kis ghar mein kis hijab mein ai jaan nihan ho tum
kis ghar mein kis hijab mein ai jaan nihan ho tum
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
kis ghar meñ kis hijāb meñ ai jaañ nihāñ ho tum
ham raah dekhte haiñ tumhārī kahāñ ho tum
miTne par apne naaz na ho kis tarah mujhe
maiñ huuñ vo be-nishān ki jis ke nishāñ ho tum
parda-darī kā aap na kiije gila agar
ham siina chaak kar ke dikhā deñ jahāñ ho tum
donoñ jagah zuhūr barābar hai aap kā
zarre meñ āftāb meñ yaksāñ ayaañ ho tum
ḳhālī nahīñ hai aap ke jalve se koī shai
dariyā ho aur qatroñ ke andar nihāñ ho tum
hāzir hai bazm-e-yār meñ sāmān-e-aish sab
ab kis kā intizār hai 'akbar' kahāñ ho tum
kis ghar mein kis hijab mein ai jaan nihan ho tum
hum rah dekhte hain tumhaari kahan ho tum
miTne par apne naz na ho kis tarah mujhe
main hun wo be-nishan ki jis ke nishan ho tum
parda-dari ka aap na kije gila agar
hum sina chaak kar ke dikha den jahan ho tum
donon jagah zuhur barabar hai aap ka
zarre mein aaftab mein yaksan ayan ho tum
KHali nahin hai aap ke jalwe se koi shai
dariya ho aur qatron ke andar nihan ho tum
hazir hai bazm-e-yar mein saman-e-aish sab
ab kis ka intizar hai 'akbar' kahan ho tum
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.