kis haal-e-be-KHudi mein kinare gae the hum
kis hāl-e-be-ḳhudī meñ kināre ga.e the ham
jab zindagī kī samt utāre ga.e the ham
ham par Thahar ga.ī thī sar-e-bazm ik nigāh
kis sādgī se haa.e pukāre ga.e the ham
in nīm-bāz nargisī āñkhoñ se pūchhiye
us raat kis tarah se guzāre ga.e the ham
dhoke se ham se paar karā.ī ga.ī thī raat
ik sub.h kī bisāt pe maare ga.e the ham
is baar maut lāñgh ke jā.eñge shahr-e-ishq
is baar zindagī ke sahāre ga.e the ham
kis haal-e-be-KHudi mein kinare gae the hum
jab zindagi ki samt utare gae the hum
hum par Thahar gai thi sar-e-bazm ek nigah
kis sadgi se hae pukare gae the hum
in nim-baz nargisi aankhon se puchhiye
us raat kis tarah se guzare gae the hum
dhoke se hum se par karai gai thi raat
ek subh ki bisat pe mare gae the hum
is bar maut langh ke jaenge shahr-e-ishq
is bar zindagi ke sahaare gae the hum
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 36)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.