kis haal mein rahti hun kisi taur se sun le
kis haal meñ rahtī huuñ kisī taur se sun le
lillāh kisī aur kisī aur se sun le
patthar ke bhī kānoñ se lahū bahne lagegā
rūdād-e-ġham-e-ishq agar ġhaur se sun le
ik baar nahīñ aisā ka.ī baar huā hai
dhīme se agar naam luuñ vo zor se sun le
jo dil pe guzartī hai kisī se na kahūñgī
sunñā hai jise jaa.e vo chit chor se sun le
lagtī haiñ burī aaj tujhe nuur kī bāteñ
achchhā to na bolūñgī kabhī ġhaur se sun le
kis haal mein rahti hun kisi taur se sun le
lillah kisi aur kisi aur se sun le
patthar ke bhi kanon se lahu bahne lagega
rudad-e-gham-e-ishq agar ghaur se sun le
ek bar nahin aisa kai bar hua hai
dhime se agar nam lun wo zor se sun le
jo dil pe guzarti hai kisi se na kahungi
sunna hai jise jae wo chit chor se sun le
lagti hain buri aaj tujhe nur ki baaten
achchha to na bolungi kabhi ghaur se sun le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.