kis hasin KHwab ka fasana hai
kis hasīñ ḳhvāb kā fasāna hai
zindagī dard kā tarāna hai
sab ki nazroñ meñ vo divāna hai
jis kā andāz shā.irāna hai
maut hī zindagī kī manzil hai
zindagī maut kā bahāna hai
muflisoñ kā bhī aur shāhoñ kā
qabr hī āḳhirī Thikāna hai
zindagī hai koī hasīñ mahbūb
jis kā andāz qātilāna hai
mar chukī hai ye vasl kī hasrat
terī yādoñ se dil lagānā hai
ghuḌkiyoñ aur gāliyoñ ke sivā
kyā ġharīboñ kā mehnatāna hai
mar gayā hai zamīr logoñ kā
ye zamāna bhī kyā zamāna hai
tū mujhe mat qubūl kar lekin
tujh se rishta mirā purānā hai
ba.ad marne ke qabr meñ 'ārif'
kaun apnā hai aur begāna hai
kis hasin KHwab ka fasana hai
zindagi dard ka tarana hai
sab ki nazron mein wo diwana hai
jis ka andaz shairana hai
maut hi zindagi ki manzil hai
zindagi maut ka bahana hai
muflison ka bhi aur shahon ka
qabr hi aaKHiri Thikana hai
zindagi hai koi hasin mahbub
jis ka andaz qatilana hai
mar chuki hai ye wasl ki hasrat
teri yaadon se dil lagana hai
ghuDkiyon aur galiyon ke siwa
kya gharibon ka mehnatana hai
mar gaya hai zamir logon ka
ye zamana bhi kya zamana hai
tu mujhe mat qubul kar lekin
tujh se rishta mera purana hai
baad marne ke qabr mein 'arif'
kaun apna hai aur begana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.