kis hiddat se guzre kaise phul hue
kis hiddat se guzre kaise phuul hue
kyā mausam thā jab angāre phuul hue
chhāchh bilone vaalī muddat baa'd hañsī
dīvāroñ par chaspāñ uple phuul hue
resha buntī makḌī ḳhushbū meñ Duubī
ik aahaT par saare jaale phuul hue
us dar ke phūloñ kā 'ālam kyā hogā
jis ko chhū kar mere jaise phuul hue
ghar ne dekh liyā aate pardesī ko
khil uTThe darvāze taale phuul hue
chauk meñ ik tasvīr lagā.ī phūloñ kī
dekhā dekhī chāroñ raste phuul hue
ham haiñ jin par mā'nī badle jaate haiñ
ham haiñ jin par kankar tere phuul hue
itnī mohlat khilne aur mahakne kī
ġham ne dī aur ham bhī us ke phuul hue
kāñTe us zarḳhez nazar ke shaidā.ī
jo bhī is meñ aan samā.e phuul hue
jab tak harf raheñge tum bhī mahkoge
tum mere ash'ār meñ aa.e phuul hue
kis hiddat se guzre kaise phul hue
kya mausam tha jab angare phul hue
chhachh bilone wali muddat ba'd hansi
diwaron par chaspan uple phul hue
resha bunti makDi KHushbu mein Dubi
ek aahaT par sare jale phul hue
us dar ke phulon ka 'alam kya hoga
jis ko chhu kar mere jaise phul hue
ghar ne dekh liya aate pardesi ko
khil uTThe darwaze tale phul hue
chauk mein ek taswir lagai phulon ki
dekha dekhi chaaron raste phul hue
hum hain jin par ma'ni badle jate hain
hum hain jin par kankar tere phul hue
itni mohlat khilne aur mahakne ki
gham ne di aur hum bhi us ke phul hue
kanTe us zarKHez nazar ke shaidai
jo bhi is mein aan samae phul hue
jab tak harf rahenge tum bhi mahkoge
tum mere ash'ar mein aae phul hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.