kis hunar ke muzahire mein ho
kis hunar ke muzāhire meñ ho
tum to ḳhud se muqāble meñ ho
qatl karnā to us ko Thiik nahīñ
ishq kī maut hādse meñ ho
chāñd aa.egā sulh karne ko
jaag jaao muġhālte meñ ho
naam maiñ dūsrā mohabbat kā
tum ho pāgal yā phir nashe meñ ho
aate aate hañsī yuuñ phislī hai
jaise ashkoñ ke rāste meñ ho
chāñd ġhā.eb hai chāñd rātoñ se
kyā pata mere aa.ine meñ ho
tum chale the ḳhalā ko bharne kyūñ?
lauT aa.e ki rāste meñ ho
kaun munsif bane sivā dariyā
ik jazīra jo kaTghare meñ ho
kis hunar ke muzahire mein ho
tum to KHud se muqable mein ho
qatl karna to us ko Thik nahin
ishq ki maut hadse mein ho
chand aaega sulh karne ko
jag jao mughaalte mein ho
nam main dusra mohabbat ka
tum ho pagal ya phir nashe mein ho
aate aate hansi yun phisli hai
jaise ashkon ke raste mein ho
chand ghaeb hai chand raaton se
kya pata mere aaine mein ho
tum chale the KHala ko bharne kyun?
lauT aae ki raste mein ho
kaun munsif bane siwa dariya
ek jazira jo kaTghare mein ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.