kis imtihan-gah mein laya gaya mujhe
kis imtihān-gāh meñ laayā gayā mujhe
dār-o-salīb sab se guzārā gayā mujhe
aare chale aur aag meñ Daalā gayā mujhe
sau sau jatan se dost sañvārā gayā mujhe
jis meñ balā kā soz ho maiñ hī vo saaz thā
aayā hai jo bhī chheḌ ke taḌpā gayā mujhe
us din falak pe 'iid rahī hogī dosto
jis roz dard 'ishq kā baḳhshā gayā mujhe
mujh ko milī hai dosto sachchā.ī kī sazā
maiñ aa.ina thā is liye toḌā gayā mujhe
kis imtihan-gah mein laya gaya mujhe
dar-o-salib sab se guzara gaya mujhe
aare chale aur aag mein Dala gaya mujhe
sau sau jatan se dost sanwara gaya mujhe
jis mein bala ka soz ho main hi wo saz tha
aaya hai jo bhi chheD ke taDpa gaya mujhe
us din falak pe 'id rahi hogi dosto
jis roz dard 'ishq ka baKHsha gaya mujhe
mujh ko mili hai dosto sachchai ki saza
main aaina tha is liye toDa gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.