kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai
kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai
Mohammad Faizaan Qadir
MORE BYMohammad Faizaan Qadir
kis jagah jaatā hai aur kaun se dar jaatā hai
tere dar se jo palaT aa.e kidhar jaatā hai
manzar-e-ām pe aatā hai to Dar jaatā hai
ashk merā mire andar hī bikhar jaatā hai
kyā huā chhoḌ ki har baar agar jaatā hai
do ghaḌī mujh se magar baat to kar jaatā hai
aaj vo zaḳhm kī tāsīr se tar jaatā hai
vo jo kahtā thā miyāñ zaḳhm hai bhar jaatā hai
kis kī yādoñ ke diye zaḳhm mujhe chubhte haiñ
kaun hai jo mirī āñkhoñ meñ Thahar jaatā hai
aadmī dil meñ utar jaa.e to zinda hai magar
aadmī dil se utar jaa.e to mar jaatā hai
kis kā ḳhuuñ hai ki ye miTTī bhī taḌapne lagī hai
nok-e-neza pe ye kis mard kā sar jaatā hai
kis jagah jata hai aur kaun se dar jata hai
tere dar se jo palaT aae kidhar jata hai
manzar-e-am pe aata hai to Dar jata hai
ashk mera mere andar hi bikhar jata hai
kya hua chhoD ki har bar agar jata hai
do ghaDi mujh se magar baat to kar jata hai
aaj wo zaKHm ki tasir se tar jata hai
wo jo kahta tha miyan zaKHm hai bhar jata hai
kis ki yaadon ke diye zaKHm mujhe chubhte hain
kaun hai jo meri aankhon mein Thahar jata hai
aadmi dil mein utar jae to zinda hai magar
aadmi dil se utar jae to mar jata hai
kis ka KHun hai ki ye miTTi bhi taDapne lagi hai
nok-e-neza pe ye kis mard ka sar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.