kis jhuTpuTe ke rang ujalon mein aa gae
kis jhuTpuTe ke rañg ujāloñ meñ aa ga.e
TukḌe shafaq ke dhuup se gāloñ meñ aa ga.e
afsurdagī kī lai bhī tire qahqahoñ meñ thī
patjhaḌ ke sur bahār ke jhāloñ meñ aa ga.e
uḌ kar kahāñ kahāñ se parindoñ ke qāfile
nādīda pāniyoñ ke ḳhayāloñ meñ aa ga.e
husn-e-tamām the to koī dekhtā na thā
tum dard ban ke dekhne vāloñ meñ aa ga.e
kāñTe samajh ke ghaas pe chaltā rahā huuñ maiñ
qatre tamām os ke chhāloñ meñ aa ga.e
kuchh rat-jage the jin kī zarūrat nahīñ rahī
kuchh ḳhvāb the jo mere ḳhayāloñ meñ aa ga.e
kis jhuTpuTe ke rang ujalon mein aa gae
TukDe shafaq ke dhup se galon mein aa gae
afsurdagi ki lai bhi tere qahqahon mein thi
patjhaD ke sur bahaar ke jhaalon mein aa gae
uD kar kahan kahan se parindon ke qafile
nadida paniyon ke KHayalon mein aa gae
husn-e-tamam the to koi dekhta na tha
tum dard ban ke dekhne walon mein aa gae
kanTe samajh ke ghas pe chalta raha hun main
qatre tamam os ke chhaalon mein aa gae
kuchh rat-jage the jin ki zarurat nahin rahi
kuchh KHwab the jo mere KHayalon mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.